Swapping ki Ek haseen raat
(Group Sex Stories) 48
22 saal ki Priyanka apne bistar par pade kapde bag mein jama rahi thi. Dhyaan rakh rahi thi ki koi bhi saamaan naa chhut jaaye. Saare kapde jama liye magar bag band karne se pehle ruk gayi.
Priyanka ko kuchh yaad aaya aur almaari ke paas pahuchi hi thi ki tabhi Priyanka ka husband Rajesh kamre mein aaya aur bhara hua bag dekhkar sawaal daag diya.
Rajesh: “Arre wo tumhaari pink waali saree rakhi ya nahi, wo meri favorite hain”
Priyanka almari ke karib pahuch kar ruk gayi aur mudkar Rajesh ko dekha aur jawaab diya.
Priyanka: “Tum mujhe yeh baat teesri baar puchh rahe ho. Aesa kya khaas hain us saaree mein?”
Priyanka ne almaari kholi aur usme se ek saaman ka chhota packet le liya.
Rajesh: “Tum us pink saaree mein baut sexy lagti ho. Waise bhi shadi mein ja rahe hain, itna rangeen mahaul hoga, meri chudai ki ichchha hogi aur tum us pink saree mein hogi to chudai ka maja duguna ho jayega”
Priyanka haath me wo packet liye bag ke paas aane ko badhi.
Priyanka: “Sab pata hain pink saaree kyu rakhwaayi tumne, kyuki tum Kabir ko jalana chaahte ho. Usi ne to gift ki thi mujhe hamari shaadi par”
Rajesh: “Tumhaare haath mein kya hain?”
Priyanka: “Wohi chij jiski jarurat tumhe shadi mein padegi aur jiske liye pink saaree rakhwaayi hain. Condom hain, nahi lena kya!”
Rajesh: “Thode jyada le lena, jyada mood hua to kaam aayenge”
Priyanka ne condom ko bag ke side pocket me ghusa diya.
Rajesh: “Agar tumhe pata hain ki maine wo pink saaree Kabir ko jalaane ke liye rakhwayi hain to phir tumney wo saaree saath kyu li? Tum bhi chaahti ho na ki Kabir tumhe us saaree mein dekhe?”
Priyanka bag band karte huye ruk gayi aur haath baandh kar Rajesh ke saamne khadi ho gayi aur usko ghurne lagi.
Priyanka: “Pink Saree maine tumhaare kahne par li hain. Rahi baat Kabir ki to main usko har tarah ke kapdo mein achchhi hi lagti hoon”
Rajesh: “Jo chij nahi miilti hain na uske liye to aadmi tadapata hi hain”
Priyanka: “Tum to chup hi raho, ek number ke dhokhebaaj ho. Kabir mujhe chaahta tha usne yeh baat tumhe batayi thi par tumney mujhe jhoothh kaha ki wo mujhme interested nahi hain aur khud tumne mujhe propose kar diya”
Rajesh: “Mere liye haa to tumney hi bola tha na! Main bhi to tumhe utna hi pasand tha!”
Priyanka: “Shukra manao Kabir ka ki wo hum dono ke beech mein nahi aaya aur chup raha. Hamari shadi ke pehle agar usne mujhe bata diya hota ki wo mujhe pyaar karta hain aur tumhare kaaran chup raha to abhi tum mere liye tadap rahe hote”
Priyanka ne bag ki chain band karte huye Rajesh ko bola. Rajesh aage badha aur Priyanka ki kalai pakad kar apni taraf muh ghumaya.
Rajesh: “Achchha, kya karti tum! Mere bajaay Kabir se shadi kar leti?”
Priyanka: “Kya pata kar leti! Waise bhi baaton mein kya rakha hain. Ek saal hone wala hain hamari shaadi ko aur is beech mera istemaal karte huye tumney us bechare Kabir ko kai baar jalaya aur tadpaya hain ”
Rajesh: “Chinta mat karo, wo ab aur nahi tadpega, kal uski shaadi hain. Hum Kabir ki shaadi mein to ja hi rahe hain, dekh lena usko uski humsafar mil gayi hain. Wo bhi tumko bhool kar aage badh jaayega”
Priyanka: “Mujhe koi ummeed bhi nahi hain ki wo mujhe zindagi bhar yaad karein ya tadpe”
Rajesh: “Sirf wo Kabir hi tumhaare liye tadap raha hain ya tum bhi uske liye utna hi tadapati ho?”
Priyanka: “Mere paas in faaltu sawaalo ka koi jawaab nahi hain”
Rajesh: “Achchha yeh to batao ki wo pink saaree tumney kyu rakhi, Kabir ko impress karne ka iraada to nahi?”
Priyanka: “Mujhe usko impress karne ki jarurat nahi hain. Wo pink saaree usi ne mujhe gift di hain. Agar main wo saaree aaj raat uske ladies sangeet ke program mein pahnungi to usko achchha hi lagega”
Rajesh: “Haa, magar jyada naach kar thak mat jana”
Priyanka: “Kyu!”
Rajesh: “Bhool gayi, us pink saaree mein main tumhe aaj raat chodne wala hoon, tum naachte huye thak gayyi to phir raat ko bahaane maarogi ki aaj rahne do..”
Priyanka: “Chod lena, nahi mana karungi. Magar ek baat ka dhyaan rakhna ki is baat ka dhhindhora dosto mein mat pitna ki tum mujhe raat ko chodne wale ho, khaas taur se Kabir ke saamne to bilkul nahi”
Rajesh: “Kyu! Tumhaare aashiq ko bura lag jaayega!”
Priyanka: “Meri aur tumhaari shaadi ho chuki hain, usko to yeh baat pata hi hogi ki hum dono aapas mein chudai karte hain”
Rajesh: “Jab sabko pata hi hain to aur bataane mein kya jata hain?”
Priyanka: “Kyuki tum aesi baat karke us bechaare Kabir ko aur jalaate ho. Agar main tumhaari bajay us se shadi kar leti aur wo bhi tumhe is tarah sataata to?”
Rajesh: “Usne tumhe propose karne ki himmat nahi dikhai aur maine baaji maar li”
Priyanka: “Jo bhi ho, mujhe bura lagta hain Kabir ke liye. Agar Kabir se shaadi ki hoti to phir tumhaare liye bhi itna hi bura lagta”
Rajesh: “To tum bhi Draupadi ke paanch patiyo ki tarah do-do pati rakhne ki to nahi soch rahi thi?”
Priyanka: “Agar do pati rakh leti to tum dono ko pata chal jata, agar main ek ke saath hoti to dusra taras raha hota”
Rajesh: “Kyu! tum hum dono ke saath threesome bhi to karwa sakti thi!”
Priyanka: “Paagal ho tum! jab dekho sirf chudai ki baatein. Saath rahne ka aur bhi matlab hota hain, sirf chudai jaruri nahi”
Rajesh: “Aur kya hota hain saath mein, batao?”
Priyanka: “Timepass mat karo, chalo abhi taiyar hona shuru karo. 3 ghante ka drive hain”
Rajesh: “Yeh kabir bhi na, uska ghar job, mummy papa, dost vagerah sab yaha is shahar mein hi hain par shaadi usko apne pushteni ghar mein itna dur jaakar karni hain. Ab hum sab logo ko uski shaadi ke liye itna dur jana pad raha hain!”
Priyanka: “Uncle aunty ka iklauta ladka hain, wo chaahte hain ki shaadi unke pushteni ghar mein hi ho”
Rajesh: “Ohhh Uncle-Aunty! Wo to bechaare tumko apni bahu tak maanane lag gaye the. Dekha nahi jab hum sab friends Kabir ke ghar jaate to sirf tumhaare sir par haath rakh kar tumko special aashirvaad dete the”
Priyanka: “Unki koi beti nahi hain isliye mujhe apni beti maante hain”
Rajesh: “Agar tum unki beti ho to phir Kabir ki bahan huyi naa!”
Priyanka ne Rajesh ko ghur kar dekha aur Rajesh chup ho gaya aur smile karna band kar diya. Priyanka ne pack kiya hua bag side me rakh diya aur phir Rajesh se puchha.
Priyanka: “Tumney Abhi ko phone kar time bata diya tha na ki hum uske ghar pickup ke liye kab pahuch rahe hain?”
Rajesh: “Haa, Anju ko phone kar bata diya tha”
Priyanka: “Teen saal tak Abhi tumhaare, mere aur Kabir ke saath ek hi college me padha hain aur tumney phone usko na karke Anju ko kiya!”
Rajesh: “Haa to kya ho gaya! Abhi aur Anuu dono husband wife hain, kisi ek ko bolo to dusre ko bata dega, wo dono ek saath rahte hain”
Priyanka yeh sunkar hasne lagi. Rajesh ka chehra gambhir ho gaya, usko laga ki Priyanka uska majaal uda rahi hain.
Rajesh: “Hans kyu rahi ho?”
Priyanka: “Aese hi”
Rajesh ne Priyanka ko peechhe se kamar se pakad liya aur apne se kas kar chipka liya.
Rajesh: “Tum kahna kya chaah rahi ho bolo?”
Priyanka: “Anju par tum kuchh jyada hi meharbaan rahte ho. Apne dost Abhi ko phone na karke uski biwi Anju ko phone kiya!”
Rajesh: “Magar Anju bhi to ab hamare friend group ka hissa ban chuki hain. Abhi ki tarah Anju bhi hamari dost hain! Isme kya galat hain!”
Priyanka: “Anju ko tum Abhi se uski shaadi hone ke baad se jaante ho. Sirf 6 mahine huye hain aur Abhi ko chaar saal se jaante ho. 6 mahine ki dosti, 4 saal ki dosti se badi hain?”
Rajesh: “Dosti ko time se thode hi maapte hain”
Priyanka: “Sab dikhta hain, kaise tum Anju ko ghurte rahte ho aur taarifo ke pool baandhte rahte ho! Abhi ko bhi sab pata hain, par bechara humse dosti ke khaatir kuchh kahta nahi hain”
Rajesh: “Taarif hi to karta hoon, kaun sa galat kaam kar diya maine! Wase bhi to Abhi bechari Anju ki bilkul taarif nahi karta. Tumhe to pata hi hain uska kaaran”
Priyanka ne apne aap ko Rajesh se chhudwaya aur uski taraf palat kar usko samjhaya.
Priyanka: “Andhera hone se pehle Kabir ke ghar pahuchana hain. Anju ko phone kar bata do ki hum taiyar hona shuru kar rahe hain aur wo log bhi taiyar rahein, varna unko pickup karne ke liye unke ghar ke baahar intejaar karna padega”
Rajesh: “Anju ko kyu, Abhi ko phone lagaata hoon, varna tum phir mujhe chidaaogi”
Priyanka ne dhyaan nahi diya aur safar par pahanane ke liye dress nikaal li. Rajesh ka phone baahar drawing room mein tha aur wo baat karne baahar gaya.
Priyanka taiyar hone lagi aur apne kapde pahan liye the. Rajesh bedroom me aaya tab Priyanka dressing table ki taraf make up karne ko badhi.
Priyanka: “Ho gayi baat, bata diya?”
Rajesh: “Haa, bol diya”
Priyanka: “Phone kisko kiya, Anju ya Abhi ko?”
Rajesh kuchh nahi bola aur safar par pahanane ke liye apne kapde nikaalane almari ki taraf aage badha. Priyanka ne haste huye phir se apna sawaal dohraya.
Priyanka: “Anju ko phone kiya ya Abhi ko?”
Rajesh: “Anju ko kiya”
Priyanka: “Tum to Abhi ko phone karne ka bol rahe the!”
Rajesh: “Pahle Abhi ko hi phone lagaya tha par usne uthhaya nahi, isliye phir Anju ko lagaya”
Priyanka: “Dikhao jara apna phone ki tumney Abhi ko pehle phone lagaya ki nahi!”
Rajesh: “Wo Abhi ek baar mein kabhi phone uthhata nahi hain, jab ki Anju ek baar mein phone uthha leti hain isliye direct Anju ko hi laga diya”
Priyanka phir se hasne lagi. Rajesh ko bura lag gaya ki wo uska majaak uda rahi hain aur usne aakar phir se Priyanka ko peechhe se aakar apni baahon me jhakad liya.
Priyanka chhutne ke liye chhatpataane lagi.
Next episode me padhiye in dosto ki aage ki kahaani jaari rahegi.
What did you think of this story
Comments