Swapping ki ek haseen raat-11
(Indian Sex Stories) 37
This story is part of a series:
Ab tak aapne padha ki Shifa aur Abhi aapas mein akele mein miley aur puraani yaadein taza kar ek dusre ko maaf kiya. Abhi najre jhukaaye khada tha.
Ab aage…
Shifa: “Kya dekh rahe ho?”
Abhi: “Kuchh nahi”
Shifa: “In do saalo mein dono bade ho gaye hain na?”
Abhi:“Kaun?”
Shifa: “Mere mumme. College mein chhote se the”
Abhi: “Tumhe lagta tha ki isi vajah se tum beauty contest mein second number par aayi thi, kyu ki Priyanka ke mumme tumse bade the!”
Shifa: “Haa”
Shifa phir se sharmaa kar khilkhilaanne lagi
Abhi: “Pagli kahi ki”
Shifa: “Abhi bhi itne bade nahi hain jitney Anju ke hain. Anju ke mumme dekhne ke baad to tumhe mere mumme pasand kyu aayenge!”
Abhi ki hansi nikal gayi.
Abhi: “Main tumhe hamesha yahi kahta tha, tumhaari body perfect hain. Aaj bhi yahi bolunga”
Shifa: “Tum apni shadi se khush to ho na!”
Abhi: “Ghar walo ke liye shaadi ki. Abhi bas jee raha hoon, ek zindagi mere saath judi huyi hain Anju ki. Waise Shahbaz bahut handsome aur smart lagta hain, tumhara kaisa chal raha hain?”
Shifa phir se serious ho gayi.
Shifa: “Main to bistar par ek zinda laash bankar chhat ko dekhte huye leti rahti hoon, usko jo karna hain kar deta hain”
Abhi ne Shifa ka mood thheek karke ki koshish ki.
Abhi:“Tum to kahti thi ki shaadi ke baad tum jungliyo wala tut kar pyaar karogi! Palang tod chudai karwaogi”
Yeh sunakr Shifa ki smile phir laut aayi aur sharma gayi.
Shifa: “Maine tumko college time mein kuchh nahi karne diya na! Yah kahti rahi ki sab kuchh shaadi ke baad karenge. Chudai to dur ki baat maine kabhi apne kapde kholkar bhi tumko apna sharir nahi dikhaya, yeh soch kar ki hamari suhaagraat ke din hum sab kuchh karenge”
Abhi: “Tumney yeh sab Priyanka se hi sikha tha. Wo bhi shadi ke pehle Rajesh ko kuchh nahi karne deti thi”
Shifa: “Rajesh aur Priyanka kiss to karte hi the, maine to tumhe kabhi kiss bhi nahi karne diya”
Abhi:”Tumhe wo sab shaadi ke baad jo karna tha”
Shifa: “Ab to hum dono ki shadi ho chuki hain, bhale hi kinhi aur se huyi ho”
Shifa aur Abhi ne pyaar bhari najro se ek dusr ki aankho mein dekha. Shifa ke gulaabi chamakate honthh ab Abhi ke honthho ki taraf badh chale. Dono ke dilo ki dhadkane express train ki raftaar se chal rahi thi.
Dono ke pyaase honthh thode khul gaye aur garm saansein ek dusre ke chehre se takraane lagi. Dono ke honthh chhune hi waley the ki Priyanka kamre mein aa gayi aur dono ek jhatke mein darr kar dur ho gaye.
Priyanka: “Ooops sorry! Bahut der ho gayi to dekhne aayi ki kahi tum dono ne aapas mein lad jhagad kar ek dusre ka khoon hi to nahi kar diya”
Shifa: “Dara diya tumney to. Kuchh seconds baad nahi aa sakti thi, hum apna pahal kiss karne ja rahe the”
Priyanka: “To main baahar chali jaati hoon”
Shifa: “Tumhaare saamne bhi hum kiss kar sakte hain. Tum bhi to hamaare saamne Rajesh ko kiss karke jalaati thi”
Priyanka: “Main nahi, Rajesh mujhe kiss karta tha”
Abhi: “Maine tumhaare honthh bhi chalte huye dekhe the kiss ke waqt”
Priyanka: “Main to bas saath deti thi, shuru wohi karta tha”
Shifa: “Come on Abhi, hum apna pahla kiss karenge”
Priyanka waha khade unkko dekhne lagi. Shifa aur Abhi ne apne honthh ek baar phir paas lana shuru kiya. Dono ke honthh pahli baar ek dusre ko chhu gaye aur dur huye.
Dono ke jigar mein ek thhandak si pahuchi. Phir wo dono baari baari se ek dusre ke honthho ko halka sa apne honthho mein bharte chuste aur peechhe hat jaate aur aur phir ek dusre ki aankho mein dekhte.
Shifa aur Abhi mein hod lagi huyi thi ki kaun kiske hontho jyada baar chusta hain. Phir un dono ne ek saath ek dusre ke honthho ko apne honthho mein bhar liya.
Shifa aur Abhi ek dusre ke honthho ko bina chhode chuste hi rah gaye aur ek dusre ko peethh aur gardan ke peechhe se jhakde huye nahi chhoda.
Agle kaafi seconds tak yahi chalta raha aur dono ke honthho ke milan se madhur puchh puchh ki aawaaj niikalti rahi. Shifa ki aankhien baar baar band ho rahi thi aur dono kho se gaye.
Priyanka: “Yaar band bhi karo ab, yeh romance dekh dekh kar meri panty geeli ho jayegi”
Shifa ne apni aankhein kholi aur Abhi ke honthho se uske honthho ne chumna band kar dur hate. Abhi aur Shifa dono khilkhilaa kar hasne lage.
Shifa: “Priyanka, tumhaari panty geeli nahi huyi, par meri panty to already geeli ho chuki hain”
Priyanka: “Tumhara yeh kiss college time se due tha isliye karne diya. Varna tum Anju aur Shahbaz ke saath dhokha kar rahe ho”
Shifa:”Bhaad mein jaaye Shahbaz”
Abhi: “Aur tel lagaane jaaye Anju”
Shifa aur Abhi ek dusre ko dekh hasne lage aur Priyanka ka muh aascharya se se khula ka khula hi rah gaya.
Priyankai: “Sambhal kar, tum dono ke iraade thheek nahi lag rahe”
Shifa: “Tuney abhi tak Kabir ko kiss nahi kiya?”
Priyanka: “Main kyu karu usko kiss bhala!”
Shifa: “Chal ab kuchh bhi mat bol. Sab pata hain kitna tadapati hain uske liye”
Priyanka: “Kahi baaki log tadapate huey yaha na aa jaye, itni der ho gayi hain. Abhi neeche chalo”
Shifa: “Ek baar Abhi ko gale to laga lu, bahut din ho gaye”
Priyanka muskura kar rah gayi aur Abhi aur Shifa aapas mein gale lag gaye. Abhi ne Shifa ke kaano mein fusfusate huye kuchh kaha.
Abhi: “Sach mein tumhaare mumme bade ho gaye hain, mujhe feel ho rahe hain”
Shifa aur Abhi ek dusre se alag huye aur Shifa sharmaane lagi. Priyanka ne note kar liya.
Priyanka: “Kya kaha Abhi ne kaan mein?”
Shifa: “Hum dono ki private baat hain”
Priyanka, Shifa aur Abhi teeno phir hanste huye Kabir ke kamre se nikle aur baahar aa gaye jaha kabir ki baarat nikalne ke pahle pooja hawan ki taiyari chal rahi thi.
Shifa ko Shahbaz ne apne paas baithhaya. Abhi bhi Shifa ke dusri taraf paas mein baithh gaya. Shahbaz ki dusri tarah Rajesh aur Anju baithhe the.
Priyanka ne Rajesh aur Kabir se najre mila kar aankho se ishara kar diya ki usne Abhi aur Shifa ka milan karwa diya hain. Kabir aur Rajesh ne Abhi aur Shifa ke khilkhilaate huye chehre dekhe.
Rajesh: “Priyanka, tum meri jagah baithh jao, main waise bhi bore ho raha hoon. Thoda ghum kar aata hoon”
Anju: “Bore to mujhe bhi ho raha hain”
Rajesh: “Chalo tum mere saath, thoda tahalate hain”
Rajesh aur Anju waha se uthh gaye. Priyanka ab jaakar Shahbaz ke paas baithh gayi. Shahbaz se najre bacha kar dusri taraf Shifa aur Abhi ne aapas mein ek dusre ka ek haath pakda hua tha.
Priyanka Shahbaz se baat kar uska dhyaan dusri taraf rakh rahi thi taaki wo Shifa aur Abhi ko note naa kar paaye. Dusri taraf Rajesh aur Anju tahal rahe the aur baat kar rahe the
Rajesh: “Anju tum subah itna naaraj kyu thi?”
Anju: “Abhi ne ek ganda majaak kiya tha, bata nahi sakti”
Rajesh: “Miya biwi mein to majaak chalte rahna chaahiye. Abhi ne bataya tha usne kya kiya tha”
Anju: “Aur tumhe yeh bura nahi laga! Usne jo Priyanka ke saath kiya”
Rajesh: “Kuchh bhi to nahi kiya, sirf ek majaak tha. Waise wo idea Abhi ne mujhse churaya tha. Ek baar maine aesa hi kiya tha”
Anju: “Kya!”
Rajesh: “Isme kya burai hain. Priyanka ko bhi pata tha Abhi ne kya kiya. Usne to bura nahi maana”
Anju: “Koi paraya mard ladki ki chhati ke aage haath laaye usme bura nahi hain?”
Rajesh: “Hum sab dost hain, kuchh limit thode hi cross ki hi. Itna chhota mota majaak to chalta hain. Main to tumhe modern khyaalo ki samajh raha tha.”
Anju: “Meri soch chhoti nahi hain. Magar shayad mujhe jalan huyi thi isliye jyada bura laga tha. Priyanka bahut sundar hain, darr lagta hain.”
Rajesh: “Tumhe jalan kyu huyi! Jalan to dusri ladkiyo ko honi chaahiye tumhara figure dekhkar”
Anju: “Maine overreact kar diya tha. Aesa nahi karna tha”
Rajesh: “Tum bhi ek baar try karo, tumhe pata chalega kuchh bura nahi hain”
Anju: “Nahi, mujhe to achchha nahi lagega. Bahut sharm aayegi”
Rajesh: “Tumney jab pahli baar chhote chhote kapde pane honge tab bhi sharm aayi hogi, par ab to nahi aati hain”
Anju: “Wo hain par phir bhi kisi ke saath aesa kaise karei?”
Rajesh: “Main tum par try karu to?”
Anju soch mein pad gayi.
Rajesh: “Matlab tumhe mujh par bharosa nahi hain? ”
Anju asmanjas mein pad gayi aur phir is kasmasahat mein us se naa kahte huye naaa bana aur usne haa bol diya. Rajesh Anju ko lekar apne room mein aa gaya kyu ki khule mein to nahi kar sakte the.
Anju palang ke kinaare par baithh gayi aur Rajesh uske paas. Anju ne yellow blue choli aur lahanga pahna hua tha aur saath mein ek dupatta.
Rajesh: “Yeh dupatta nikaal do”
Anju: “Kyu?”
Rajesh: “Abhi ne jab Priyanka ke saath majaak kiya tha tab kya Priyanka ne dupatta pahna tha? Nahi na! Experiment karna hain to thheek se karte hain”
Next episode mein dekhiye kya Anju aur Rajesh koi galti karne ja rahe the!
What did you think of this story
Comments